seerat e Nabwi -Khutba e Hajjatul Wida
A'oozu Billahi Minash Shaitwanir Rajeem*
*Bismillahir Rahmanir Raheem*
✨ *Tajalliyat e Nubuwwat* ✨
Topic - Khutba e Hajjatul Wida
Jab jazeeratul Arab me dawat ki tableegh mukammal ho gayi aur Allah ne ahl e imaan ki ek aisi jamaat paida farma di jo dawat ki hifazat ki zaamin aur use zameen k kone kone tak pohnchane ki kafeel thi, to Allah ne Rasool Allah s.a.w k wisal se pehle unke jehd e peham ka ye samra bhi dikhlaya.
Chunanche Aapko zil hajj san 10 hijri me Allah ne baitullah ki hajj se masharraf farmaya. Aap s.a.w ne Hajj aur Umre ki niyat sath me ki. Aapne farmaya-
*Labbaik! Allahumma Labbaik. Labbaik la shareeka laka labbaik. Innal hamda, wa ne'mata laka wal mulk. Laa shareeka lak* ✨
Aur ye bhi farmaya -
✨ *Labbaik! Allahul Haq*
Phir musalle se uth kar oontni par sawar hue, Labbaik pukari..
Aur jab oontni Aapko le kar maidan me chal padi to Aap s.a.w ne Labbaik pukari. Namaz k baad Zul Haleefa me hi qurbani k janwar ko kuhaan cheere aur unko qulaade pehnaye. Phir uske baad Aap s.a.w ne apna safar jaari rakha. Hafte bhar baad Makkah pohnche to Zul Tawa me raat guzari. Fajr ki namaz padh kar ghusl farmaya. Phir, masjid e Haram me dakhil hue. Ye itwar zul hajj ki subah thi. Aap s.a.w ne Baitullah ka tawaf kia aur safa marwa ki sa'ee ki. Phir bala e Makkah me hajoon k pas qayam farmaya aur dubara palat kar tawaf nahi kia. Albattah, ahraam barqarar rakha.
Aap s.a.w ne Hajj aur Umrah ka ehraam ikatha bandha hua tha, uski wajah ye thi ki Aap s.a.w hadi yani qurbani ka janwar sath laye the.
Chunanche, jo bhi apne sath hadi laya tha Aapne use hukm ki apne ehraam barqarar rakhein. Albattah, jo log hadi nahi laye the unhe hukm dia gaya ki tawaf aur sa'ee k baad sar mundwa lein aur ehraam khol dein. Aur apne iss amal ko umrah qarar de lein khwaah unhone hajj ki niyat se ehram bandha ho ya umrah ki niyat se ya dono ki niyat se. To Aapne farmaya, Agar mujhe wo baat pehle malum ho jati jo baad me hui to main pehle hadi na lata aur use umrah qarar de deta aur ehraam khol deta.
Chunanche, jin logon k pas hadi nhi thi unhone ehraam khol dia.
🌈 Phir Aap s.a.w 8 zil hajj ko Tarwiya k din Mina tashreef le gaye to log ehram khol chuke the. Wo bhi hajj ka ehram bandh k Mina gaye wahan Aapne zuhr, asr, maghrib aur Isha aur fajr ki namazein padhin aur 4 raka'at wali namazein qasr kar k 2 - 2 raka'at namaz padhi. Phir suraj tulu hone k baad Mina se chal pade aur Arafah tashreef laye. Wahan waadi e namra me Aapke liye qaba laga hua tha. Aap s.a.w usi mein
Istarahat farma hue,jab sooraj dhala to waadiye Arna'' tashreef laye.
Log aap ke gird jama the.
Aap saw ne unke beech khade hokar Khutba diya.
Allah ki hamdosana ki,shahadat ke kalimat kahe,Allah se darne ki waqiyat ki,phir jo baatein kahin wo is tarah hain.
Sawal-khutbah Hajjatul wida'a mein Rasool Allah(ﷺ) ne logon ko kya naseehat di?
Comments
Post a Comment